Surabhi TV Report 1994-02-17
17 February 1994
Interview
Ganapatipule (India)
Talk Language: English, Hindi | Transcript (English) – Draft | Translation (Hindi to English) - NEEDED
Surabhi, TV report on Sahaja Yoga 17-02-1994
Hindi: Anadil kaal se Maanam satya ki khoj mei parvato ki barfili chotiyo se lekar sadan vano mei kathin parishram karta raha , Bharat ki paawan bhumi satya saadhko ki yog bhumi rahi hai.
Unhone paya ki saare Bhrahmaan ko chalane wali aganit shaktiya ek para shakti ka ansh hia is parashakti ko unhone Adi Shakti ka naam dia. Adi Shakt Prabhu ke prem ki aseem shakti hai jise maanav apne jeeevan mei har pal mehsus karta hai.
Prabhu ke prem mei aatma vibor hokar , maanav prabhu ke prati purna tarah samarpit ho jata hia .Prabhu ke saath ekaarita ko hi yog kehte hia.
Nichiketa tatha Markhende ne kathin tap kar es divya gyaan ko balyakaal mei praapt kia.Yog ke har vidha par diya gaya Bhagwaan Shri Krishna ka gyaan aaj bhi maanav ko staya ki saadhna karne ko prerit karta hai.
Manav jis anand evam shanti ke khoj mei laga hai wo satya use kewal saatvik shradha se ki praapt ho sakta hai.
Es baat se kadhapi inkaar nhi kia ja sakta ki Prithvi par jitne bhi avtaran hue jitne bhi dharm bane panth bane jitne bhi sant peer hue wo ve matra sathvik shrada ke avishkaar the. Karmkaand se pare , riti riwajo se hath ke avam ruriyo se uth kar in sab ki seekh jis shakti ki aur sanket karti hai wo shakti keval mavata ka pratik hai
Yahi mul tatva hai jo har dharm granth mei ,sant sahitya mei ,guru vaniyo mei bhara pada hai.
Maharashtra ke mahaan sant Gyaaneshwarji ne gyanneshwari ke 6th adhyaay mei divya gyaan ko saral evam sundar Marathi bhasha mei vyakha karke jan jan tak pahuchane ka mahan karya kia tha.
Hridhay mei divya gyaan ki jyoti jalne par maanav ka bahurangi vikaas hota hai, maanav ke antarik tatha bhay vikas ke santulit yog ko aaj ki duniya chahe asambhav mane parantu guruvar Rabindranath Tagur ka svapn bharat ke pashyami sagar tak swakar hua hai
Shri Mataji: There is a big inner revolution coming up, which is silent, joyous, and is going to change the whole humanity.
Hindi:
Adiguru Shrankaryacharya jis jivant karya ka varnan soundarya lehari mei kia hai uska anubhav sarva sadharan ko sahaj hi ho raha hai. Vishva ke anek desho mei Doctor is gyaan ka prayog asaadhya logo ke upchar mei kar rahe hai
Doctor: I have been involved with Sahaj yoga the work of Shri Mataji for about the past 10 years , during that time I have seen a lot of people who have had a whole variety of problems. A lot of them psychosomatic by [UNCLEAR ]means all some illness that we would normally regard as purely physical. And I have seen many cures I am talking to strong word and certainly on the whole ,people who practice sahaj yoga do report very mart increase in their general health and wealth being .
Hindi:
Sveyam anpe hi desh mei anek doctor is gyaan stroth k sadpuyog kar rahe hai.
Russe mei is gyaan ko vigyan ke pare ka gyaan mana gaya hai
Shri Mataji: So, everything is so balanced in nature. And the Almighty has created only one world. Only we human beings have divided it and move like criminals with our passport in our hands.
Hindi:
aaj yah gyaan desh ,dharam,bhasha avem jati ki seema ko laang kar vishv ke 56 desho mei apni surbhi phela raha hai.